Bismillah hir Rahmaan nir Raheem
Ya Ilahi Rahem Farma Mustapha Ke Waaste
Ya Rasoolallah Karam Ki'jiye Khuda Ke Waaste.
Mushkile Hal kar Shahe Mushkil Kusha Ke Waaste
Kar Balaa-e-Rad Shaheede Karbala Ke Waaste.
Sayyid-e-Sajjaad Ke Sadqe me Saajid Rakh Mujhe
I'lm-e-Haq deh Baaqir-e-I'lm-e-Huda Ke Waaste
Sidqe Saadiq Ka Tasadduq Saadiqul Islam Kar
Be Ghazab Raazi hoh Kaazim aur Raza Ke Waaste
Bahre Ma'roof wa Sirri Ma'roof de Be'khud Sirri
Jund-e-Haq me Ghin Junaid-e-Baa Safa Ke Waaste
Behre Shibli Shere Haq Duniya Ke Kutto Se Bacha
Ek ka Rakh Abde-Waahid Be Riya Ke Waaste
Bool Farah Ka Sadqa Kar Ghum ko Farha de Husn wa Sa'ad
Bool Hassan aur Bu Saeede Sa'ad-e-zaa Keh Waaste
Qaaderi Kar Qaaderi Rakh Qaaderiyo me ut'ha
Qadre Abdul Qaadire Qudrat Numa Ke Waaste
Ahsanal laahu Lahu Rizqan se de Rizqe Hassan
Banda'e Razzaaq Taajul Asfiya Ke Waaste
Nasraabi Saaleh Ka Sadqa Saaleho Mansoor Rakh
De Hayaat-e-Deen Muhiy'ye Ja Fizaa Ke Waaste
Toor-e-Irfaan wa Uloo wa Hamd wa Husna wa Bahaa
De Ali Moosa Hassan Ahmed Bahaa Keh Waaste
Bahr-e-Ibraheem Mujh Par Naar-e-Ghum Gulzaar Kar
Bheek De Daata Bhekaari Badsha Keh Waaste
Khana'e Dil ko Zia De Roo'e Imaan Ko Jamaal
Sheh Zia Maula Jamaalul Awliya Ke Waaste
Deh Muhammad Keh Liye Rozi Kar Ahmad Keh Liye
Khaane Fazlullaha se Hissah Gada Ke Waaste
Deeno Duniya Ki Mujhe Barkaat de Barkaat se
Ishqe Haq de Ishqi-e-Ishq Intima Keh Waaste
Hubbe Ahle Bait de Aale Muhammad Ke Liye
Kar Shaheede Ishqe Hamza Peshwa Ke Waaste
Dil Ko Ach'cha Tann Ko Sutra Jaan Ko Pur noor Kar
Ache Pyaare Shamsuddeen Badrul Ula Ke Waaste
Do Jaha me Khaadime Aale Rasoolullah Kar
Hazrate Aale Rasoole Muqtada Ke Waaste
Noor-e-Jaan wa Noor-e-Imaan Noor-e-Qabro Hashr De
Bul Husain-e Ahmade Noori Liqaa Ke Waaste
Kar 'Ata Ahmad Raza eh Ahmade Mursal Mujhe
Mere Maula Hazrate Ahmad Raza Ke Waaste
Haamido Mahmoodo Ham'maado Ahmad Kar Mujhe
Mere Maula Hazrate Haamid Raza Ke Waaste
Saaya-e Jumla Mashaa'ikh Ya Khuda Hum Par Rahe
Rahem Farma Aale Rahman Mustapha Ke Waaste
Behr-e-Ebraheem bhe lut'fo ataa'eh khaas ho
Noor ki Baarish sadaa ibne Raza keh Waasteh
AI KHUDA AKHTAR RAZA KO CHARKH PAR ISLAM KEH
RAKH DARAKSHAA HAR GHARRI APNI RAZA KEH WAASTEH
Sadqa In Ay'ya Ka de Che Ain Izz I'lmo Amal
Afwo Irfaa Aafiyat is Be nawaa Ke Waasteh